Showing posts with label Toh Zinda Ho Tum. Show all posts
Showing posts with label Toh Zinda Ho Tum. Show all posts

Saturday, March 3, 2012

Hey bhagwan mujhko tuh jindagi dubara de


heyy.. choti si hai jindagi ,usse chota ek sapna
heyy.. choti si hai jindagi,usse chota ek sapna
ek baar is dharti pe dekh loon khuda apna

hey bhagwan mujhko tuh jindagi dubara de..

raat ke andhere mein , mujhe jo ujala de
jab thak jaaon toh apni ,god ka sahara de

hey bhagwan mujhko tuh ,jindagi dubara de..

aaj bhi tu dekhta hoga  kahi dur satwan aasman
 kaise khoya ja raha hai apne aap mein insaan

hey bhagwan mujhko tuh ,jindagi dubara de..
hey bhagwan mujhko tuh ,jindagi dubara de..

hey dil ko sambhaloon kaise  ,tanhaayi mein doobi raat hai
hey dil ko sambhaloon kaise ,tanhaayi mein doobi raat hai
akele ho toh kya hua re ,uska jo sahara hai

hey bhagwan mujhko tuh ,jindagi dubara de..

Lyrics of Raghu Dixit 
Hey bhagawan

Thursday, January 19, 2012

Toh Zinda Ho Tum .........

Toh Zinda Ho Tum

Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho.
Toh zinda ho tum!
Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!

Hawa ke jhonkon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise, leharon mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekhiye

Jo apni aankhon mein hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!
Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!